Deedaar - Appearance

Deedaar ki talab ke tareeqon se be khabar
Deedaar ki talab hai to pahle nigah maang

- 'Azad Ansari'
 

Meri aankhein aur deedaar aap ka
Ya qayaamat aagayiee yaa khwab hai

- 'Aasi Ghazipuri'
 

Darpesh hai phir masalah taaqat-e-deedaar
Phir kuchh nigah-e-shauq hai ghabraaiee huiyee si

- 'Faani'
 

 

Banda parwar ! Main woh banda hoon ke bahr-e-bandagi Jis ke aage sar jhuka doonga khuda ho jaayega